onion ko lambai mein kaat kar rakh le .
tomato ke bhi lambe pieces kar le .
kadhai mein oil daalkar garam karen , aur fir jeera aur hari mirch daal kar pyaz bhoon le.
ab usmein haldi ,dhaniya powder aur laal mirch daal de, masala bhun jaane par ab tamatar daalkar high flame par pakaen
tamatar pak jaane par ab namak aur garam masala daal kar ek min aur bhoon le
ab serving bowl mein nikalkar upar se hara dhaniya daal de.